Makhdoom Mohiuddin

tur

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
yahīñ kī thī mohabbat ke sabaq kī ibtidā maiñ ne
yahīñ kī jur.at-e-iz.hār-e-harf-e-mudda.ā maiñ ne
diloñ meñ azhdahām-e-ārzū lab band rahte the
nazar se guftugū hotī thī dam ulfat kā bharte the
vo kyā aatā ki goyā daur meñ jām-e-sharāb aatā
vo kyā aatā rañgīlī rāgnī rañgīñ raubāb aatā
hayā ke bojh se jab har qadam par laġhzisheñ hotīñ
fazā meñ muntashir rañgīñ badan kī larzisheñ hotīñ
bahe jaate the baiThe ishq ke zarrīñ safīne meñ
tamannāoñ kā tūfāñ karvaTeñ letā thā siine meñ
balā-e-fikr-e-fardā ham se kosoñ duur hotī thī
surūr-e-sarmadī se zindagī ma.amūr hotī thī
na ab vo khet baaqī haiñ na vo āb-e-ravāñ baaqī
magar is aish-e-rafta kā hai ik dhundlā nishāñ baaqī
Top Urdushayar.com