ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
aur ammī ne samjhā.ī nahīñ
meñ kaise mīThī baat karūñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
naanī ke miyāñ to naanā haiñ
daadī ke miyāñ bhī daadā haiñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
jab nayā mahīna aatā hai to
bijlī kā bil aa jaatā hai
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
gar billī sher kī ḳhāla hai
to ham ne use kyuuñ paalā hai
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
kyuuñ lambe baal haiñ bhālū ke
kyuuñ us kī TuñD karā.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
jo taare jhilmil karte haiñ
kyā un kī chachchī taa.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ