nābūd ke kāmil sannāTe meñ
zehn-e-āfāqī
āmāq kī tārīkī se ubhar kar
nuur kā ek aazam zarra
pīThoñ pe havā-e-shamsī mārtī hai durre...
duurī harakat meñ aate haiñ sākit kurre
ḳhud se mubāriz-andesha
sañgīñ kohsār meñ Dhaltā hai
āshob vafūr-e-qudrat kā
bahr-e-zaḳhḳhār kī tah meñ paltā hai
tashkīl meñ hai aamil quvvat kā mansūba...
kohre se zāhir hotā hai ik kashtī kā ḳhāka
matlūb, nihāñ-ḳhāne meñ apne rūh-e-insānī
dahshat kī god meñ bālīda hotī hai