shaam kī raakh meñ luthḌī huī Dhalvānoñ par
ek revaḌ ke thake qadmoñ kā maddham āhañg
mast charvāhā charā-gāh kī ik choTī se
jab utartā hai to zaitūn kī lāñbī soñTī
bakriyāñ dasht kī mahkār meñ gūñdhā huā duudh
chhāgaloñ meñ liye jab raqs-kunāñ aatī haiñ
jast bhartī hai kabhī aur kabhī chalte chalte
nāchtī Daar mimakate hue buzġhāloñ kī
saan par laakh chhurī siiḳh pe sad-pāra gosht
phir bhī mad.hosh ġhazāloñ kī ye Tolī hai ki jo
shaam kī raakh meñ luthḌī huī Dhalvānoñ par
kheltī hai ġham hastī kī vo shādāñ sī umañg