Majeed Amjad

kaun dekhega

Majeed Amjad

Jhang, Punjab, Pakistan

1914-1976

jo din kabhī nahīñ biitā vo din kab aa.egā

inhī dinoñ meñ is ik din ko kaun dekhegā

us ek din ko jo sūraj raakh meñ ġhaltāñ

inhī dinoñ tahoñ meñ hai kaun dekhegā

us ek din ko jo hai umr ke zavāl din

inhīñ dinoñ meñ numū-yāb kaun dekhegā

ye ek saañs jhameloñ-bharī jugoñ meñ rachī

is apnī saañs meñ kaun apnā ant dekhegā

is apnī miTTī meñ jo kuchh amiT hai miTTī hai

jo din in āñkhoñ ne dekhā hai kaun dekhegā

maiñ roz idhar se guzartā huuñ kaun dekhtā hai

maiñ jab idhar se na guzrūñgā kaun dekhegā

do-rūya sāhil-e-dīvār aur pas-e-dīvār

ik ā.inoñ samundar hai kaun dekhegā

hazār chehre ḳhud-ārā haiñ kaun jhāñkegā

mire na hone honī ko kaun dekhegā

taḌaḳh ke gard tah se agar kahīñ kuchh phuul

khile bhii, koī to dekhegā kaun dekhegā

Top Urdushayar.com