ab ye masāfat kaise tai ho ai dil tū hī batā
kaTtī umr aur ghaTte fāsle phir bhī vahī sahrā
chait aayā chetāvanī bhejī apnā vachan nibhā
patjhaḌ aa.ī patr likhe aa jīvan biit chalā
ḳhushiyoñ kā mukh chuum ke dekhā duniyā mān-bharī
dukh vo sajan kaThor ki jis ko ruuh kare sajda
apnā paikar apnā saaya kaale kos kaThin
duurī kī jab sañgat TuuTī koī qarīb na thā
apne gird ab apne aap meñ ghultī soch bhalī
kis ke dost aur kaise dushman sab ko dekh liyā
kāñch kī ik dīvār zamāna āmne-sāmne ham
nazroñ se nazroñ kā bandhan jism se jism judā
rāheñ dhaḌkīñ shāḳheñ kaḌkīñ ik ik Tiis aTal
kitnī tez chalī hai ab ke dhūl-bharī havā
dukhḌe kahte lākhoñ mukhḌe kis kis kī suniye
bolī to ik ik kī vaisī baanī sab kī judā