tū ai kaveri hai rashk-e-rūd-e-nīl
terī ik ik mauj mauj-e-salsabīl
paḌ rahā hai tujh pe aks-e-jibra.īl
tujh se hai sairāb gulzār-e-ḳhalīl
aaj bhī hūrān-e-jannat be-shumār
dekh kar tujh ko qatār-andar-qatār
roz aatī haiñ nahāne ke liye
raqs kā tūfāñ uThāne ke liye
nuur kā dariyā bahāne ke liye
naġhma-e-firdaus gaane ke liye
ḳhizr ko hai āb-e-haivāñ par ġhurūr
faiz jaarī hai tirā nazdīk-o-dūr
terā har qatra hai bahr-e-be-karāñ
jis meñ pinhāñ haiñ hazāroñ naddiyāñ
terā naġhma gā rahā hai har kisāñ
jis se paiham raqs meñ hai āsmāñ
tere dam se haiñ ye sab gul-kāriyāñ
lahlahātī haiñ jo saarī khetiyāñ
bel-būTe aur har shāḳh-o-shajar
gulshan-e-hastī kā har barg-o-samar
bulbul-o-qumrī-o-shāhīñ be-ḳhatar
sab parinde aur charinde bahra-var
muflis-o-mohtāj hoñ yā ahl-e-zar
zālim-o-mazlūm hoñ yā tājvar
sab pe terā faiz yaksāñ hai mudām
tere aage ek haiñ aaqā ġhulām