dekho abhī hai vādī-e-kan.āñ nigāh meñ
taaza har ek naqsh-e-kaf-e-pā hai raah meñ
ye turra gir gayā to ulaT jā.egī zamīñ
mahvar se apne aur bhī haT jā.egī zamīñ
yuuñ bhī huā dahā.ī ikaa.ī meñ Dhal ga.ī
ḳhurshīd ke alaao meñ har shai pighal ga.ī
jab yuuñ na ho sakā to ye tārīḳh hai gavāh
uTThe asā-ba-dast ġhulmān-e-kaj-kulāh
har mauj-e-nīl saañp sī bal khā ke rah ga.ī
ahrām kī nigāh bhī pathrā ke rah ga.ī
had se guzar na jaa.eñ kahīñ kam-tarīn log
muusā ke intizār meñ haiñ be-zamīn log