charchā har ek aan hai urdū zabān kā
girvīda kul jahān hai urdū zabān kā
is lashkarī zabān kī azmat na pochhiye
azmat to ḳhud nishān hai urdū zabān kā
gumnāmiyoñ kī dhuup meñ jaltā nahīñ kabhī
jis sar pe sā.ebān hai urdū zabān kā
mashriq kā gulsitāñ ho ki maġhrib kā āshiyāñ
vīrān kab makān hai urdū zabān kā
'saudā' va 'mīr' va 'ġhālib' va 'iqbāl' dekh lo
har ek pāsbān hai urdū zabān kā
urdū zabān meñ hai ghulī shahd kī miThās
lahja bhī mehrbān hai urdū zabān kā
tarvīj de rahā hai jo urdū zabān ko
be shak vo bāġhbān hai urdū zabān kā
mehmān kah rahā hai'' baḌā ḳhush-nasīb hai
jo shaḳhs mezbān hai urdū zabān kā
logo kahīñ bhī is meñ pas-o-pesh kuchh nahīñ
ik mo'tarif jahān hai urdū zabān kā
bolī hai rābte kī yahī joḌtī hai dil
har dil meñ aisā maan hai urdū zabān kā
vus.at-pazīr dāman-e-urdu hai aaj bhī
har gosha ik jahān hai urdū zabān kā
kartā hai ābiyārī lahū se adiib jo
vo dil hai jism-o-jān hai urdū zabān kā
aa.iiñ rukāvaTeñ jo taraqqī meñ is kī kuchh
samjho ye imtihān hai urdū zabān kā
pā.egā jald manzil-e-maqsūd bil-yaqīñ
jaarī jo kārvān hai urdū zabān kā
izzat suḳhanvarān-e-adab kī isī hai
'shā.er' bhī tarjumān hai urdū zabān kā