ho ke sarshār bahut ishq se gaa.eñ holī
ik na.e rañg se apnoñ ko sunā.eñ holī
mulk se firqa-parastī ko haTā hī Daalo
dair-o-ka.aba ke tafarqe ko miTā hī Daalo
jo mohabbat ke buzurgoñ ne jalā.e the diye
paap kī tez havāoñ se vo ab bujhne lage
har taraf bahne lage amn-o-sukūñ kā dariyā
kaash aa jaa.e buzurgoñ kā samay guzrā huā
apne bhārat se ġharībī ko miTānā hai hameñ
apnī mehnat se na.e daur ko laanā hai hameñ
hind ko aaj mohabbat kī zarūrat hai 'kañval'
aaj har shaḳhs ko ulfat kī zarūrat hai 'kañval'