hai ye ahbāb ko isrār ki holī khelūñ
toḌ duuñ aaj to maiñ zohd-o-taqaddus kā fusūñ
mast ho kar maiñ piyūñ jām-e-sharāb-e-hastī
hama-tan bāda-e-ishrat ke nashe meñ jhūmūñ
apnī sanjīda ravish aur udāsī chhoḌūñ
ġham ke asnām ko but-ḳhāna-e-dil meñ toḌūñ
jal uTheñ ġham ke shabistāñ meñ masarrat ke charāġh
barbat-e-dil ke har ik taar ko phir se joḌūñ
mujh ko bahlā.eñge kyā ahl-e-tarab ke naġhme
aur tyauhār kī rañgīn ḳhushī ke lamhe
maiñ ne har naqsh-e-masarrat ko dabā rakkhā hai
aur dekhe haiñ hasīñ daur ke sundar sapne
suunī suunī nazar aatī hai bisāt-e-hastī
na kahīñ shīsha-o-sāġhar na surūr-o-mastī
chashm-e-muflis meñ larazte hue ashkoñ ke charāġh
qalb-e-nādār hai jaise koī ujḌī bastī
aaj insān kā insān lahū piitā hai
aaj tahzīb kā sultān yūñhī jiitā hai
devtā jabr pe rāvan ke hirāsāñ jaise
dāman-e-armān ko nādār yūñhī siitā hai
aaj insān huā makr-o-daġhā kā daftar
qalb-e-zardār hai ehsās-e-ḳhudī kā ḳhūgar
be-ḳhabar ho ke ġharīboñ kī dabī aahoñ se
aadmī kibr-o-ra.ūnat kā banā hai paikar
holiyāñ khelte haiñ ḳhūn-e-bashar se mun.im
apne a.amāl pe hotā nahīñ insāñ nādim
aah aflās se Thukrā.ī javānī kā shabāb
fikr kī dhuup se larzāñ hai misāl-e-mujrim
qalb-e-mahkūm hai is daur meñ sunsān dayār
ho gayā hai dil-e-majbūr dukhoñ se bezār
kyā na aa.egā kabhī dahr meñ parhalād kā daur
aag holī kī kisī roz banegī gulzār
mutma.in aaj na duniyā kā makīñ hai koī
dahr meñ kibr se ḳhālī na jabīñ hai koī
aaj zardār banā baiThā hai hiranyakashyap
aah is daur meñ dam-sāz nahīñ hai koī
har taraf kibr-o-ra.ūnat ke sulagte haiñ alaav
har taraf ziist ke gulshan meñ hai sho.aloñ kā jamāv
aaj phir holikā parhalād ko le baiThī hai
phir se is jaltī huī aag ko gulzār banāo
phir badalne haiñ mujhe bekas-o-majbūr ke bhaag
aaj bhī Daste haiñ nādār ko zardār ke naag
jazb-e-ehsās ke sho.aloñ kī tapish se ik din
zar kī lanka meñ lagā denā hai ik baar phir aag