ajiib kūcha-e-rashk-e-jināñ thā dehlī kā
bahisht kahte haiñ jis ko makāñ thā dehlī kā
dimāġh bar-sar-e-haft-āsmāñ thā dehlī kā
ḳhitāb-e-ḳhitta-e-hindostāñ thā dehlī kā
ġhazab hai us ko koī shādmāñ na dekh sakā
zamīñ na dekh sakī āsmāñ na dekh sakā
hazāroñ zulf-e-parī-vash ke yaañ the saudā.ī
hazāroñ mai-kash-o-mai-ḳhvār-o-mast-o-sahbā.ī
sharāb-e-aish pilātā thā charḳh-e-mīnā.ī
qubūl karte the is dar pe sab jabīñ-sā.ī
jo aatā thā so vo ho rahtā thā usī ghar kā
zamīñ kī naaf hai ka.aba hai batn-e-mādar kā
vo taḳht-e-saltanat-o-bārgāh-e-sultānī
ki jis meñ baiThte the aa ke zill-e-sub.hānī
paroñ se sar pe humā kartā thā magas-rānī
bajā us auj pe thā da.avā-e-sulaimānī
har ek qasr ko da.avā thā tāq-e-kisrā kā
dimāġh arsh pe thā qila-e-muallā kā
zuhal kī aañkh paḌī ittifāq se nāgāh
tamām ho gayā tārāj mulk-o-māl aur jaah
ki us se ho ga.e bad-tar ġharīb shāhanshāh
ra.ī.yat us kī huī us se bhī ziyāda tabāh
vo sāhūkār na thā jis kī saakh meñ baTTā
ab us ke naam pe lagtā hai laakh meñ baTTā
milā ye hukm ki sab log yaañ se Tal jaa.eñ
isī meñ ḳhair hai jo shahr se nikal jaa.eñ
dabī hai buqchī to dikhlā ke yaañ baġhal jaa.eñ
jo kuchh hai chhoḌ yahāñ sāhab-e-daval jaa.eñ
na sar pe Topī hai un ke na paañv meñ juutī
baġhal meñ tote kā piñjḌā nabī-jī bhejo jī
yahāñ jo aan kī dekhī to daar kī sūrat
vo daar kahiye jise zulfiqār kī sūrat
miTā dī chashm-e-zadan meñ hazār kī sūrat
nazar paḌī na kisī be-qarār kī sūrat
ba-rañg-e-tīr-e-shahāb aag meñ jale lākhoñ
sipurd dār-o-rasan ho ga.e gale lākhoñ