Firoz Natiq Khusro

naqab jitne hain

Firoz Natiq Khusro

Badayun, Uttar pradesh, India

1944
safar meñ pesh koī hādisa bhī mumkin hai
zarā se der meñ āh-o-bukā bhī mumkin hai
mirā vajūd kabhī be amaañ na ho jaa.e
ye jism mar ke kahīñ be-nishāñ na ho jaa.e
mirā pata na chale kuchh mirī ḳhabar na mile
guzar huā thā jahāñ se vo rahguzar na mile
shikār ho gayā jab marg-e-nā-gahānī kā
ḳhayāl aa.egā logoñ ko tab nishānī kā
naqāb jitne haiñ mere vo noch Dāleñge
parat utāreñge chehra kharoñch Dāleñge
yahī sabab hai ki jab bhī maiñ ghar se jaatā huuñ
kuchh ehtimām isī Dar se kar ke jaatā huuñ
na koī naqsh na tahrīr apnī rakhtā huuñ
maiñ apnī jeb meñ tasvīr apnī rakhtā huuñ
Top Urdushayar.com