Saeed Arifi

muntaKHab-e-rozgar abulkalam-azad

Saeed Arifi

qadam qadam pe aqīdat se sar hai ḳham merā
chalā hai sū-e-rah-e-mo'atabar qalam merā
baḌe ḳhulūs se detā thā dars-e-insānī
hue haiñ jis kī badaulat zamīr nūrānī
vo jis ne rāh-e-mohabbat dikhā.ī thī ham ko
vo jis ne rasm-e-uḳhuvvat sikhā.ī thī ham ko
vo jis ne bartar-o-bālā ḳhayāl baḳhshā thā
jo lā-zavāl hai aisā kamāl baḳhshā thā
vo ek fikr jo bā-e'tibār kartī hai
nazar meñ kābil-sad-iftiḳhār kartī hai
vo jis ne ziist sajā.ī jalā.e dil ke charāġh
usī ke soz ne baḳhshī hameñ matā-e-dimāġh
usī ne tarz-e-takallum kī chāshnī dī hai
usī ne ilm kī ḳhush-rañg zindagī dī hai
usī ne harf-e-hidāyat se sarfarāz kiyā
ḳhudā kā shukr hameñ āshnā-e-rāz kiyā
guloñ se pyaar anādil se us kā yārāna
sukūn-o-amn kā markaz thā us kā kāshāna
matā-e-ilm luTātī rahī hai zaat us kī
bahut darāz thī zulf-e-navāzishāt us kī
ruḳh-e-hayāt ko baḳhshī hai ik jilā us ne
shu.ūr zauq-e-nazar kā atā kiyā us ne
sukūn dil ko mayassar thā us kī qurbat se
ham ahl-e-hind kī azmat hai us kī nisbat se
ufuq pe ubhrā jo vo al-hilāl kī sūrat
javān ho ke rahī al-balāġh kī fitrat
haiñ tazkire meñ kuchh aise nuqūsh-e-fikr-e-jamīl
ġhubar-e-ḳhātir-o-ḳhutabāt kī sajeñ qindīl
jo tarjumān se phailī kalām kī ḳhushbū
sañvāre us ne hī pechīda aql ke gesū
usī ne sāz-e-adab ko sadā-e-nau baḳhshī
shikasta-dil ko anokhī adā-e-nau baḳhshī
dayār-e-gul meñ vo aayā thā muskurātā huā
har ek ḳhār-e-chaman ko gale lagātā huā
guloñ kā rañg sabā kā shi.ār laayā thā
vo ik bahār thā husn-e-bahār laayā thā
na us bahār se ab tak bharā thā dil apnā
ki chand lamhoñ ko us se lagā thā dil apnā
qazā-e-husn chaman ko chaman se chhīn liyā
shabāb jaise navelī dulhan se chhīn liyā
bahār hai na vajūd-e-bahār baaqī hai
diloñ meñ yād-e-numūd-e-bahār baaqī hai
buzurg-o-muḳhlish-o-ālī-vaqār thā vo shaḳhs
ki ek muntaḳhab-e-rozgār thā vo shaḳhs
Top Urdushayar.com