Zehra Alvi

KHud-kalami KHatun-e-KHana ki

Zehra Alvi

Chakwal, Punjab, Pakistan

1990
kuchh ḳhaas nahīñ hai
vahī roz-o-shab haiñ
oh bachche schōl se aane vaale haiñ
aur bachchoñ ke liye lunch bhī banānā hai
are yaad hī na rahā saas kī davā ḳhatm hone vaalī hai
aur kitchen kā kuchh sāmān bhī laanā hai
kitnā achchhā mausam hai bādaloñ ke sañg gungunāne kā
magar dāvat hai kal aur raat kā khānā banānā hai
kabāb banā kar rakhe haiñ abhī frēze meñ
ab bachchoñ ko paḌhānā hai
thak kar chuur ho ga.ī huuñ magar un ke liye
achchhe se tayyār honā hai
adhūrī jins
ka.ī sadiyoñ se ġhurūr ādamiyat aur hayā nisvāniyat ke darmiyān
Top Urdushayar.com