ek mazdūr
ki jis ke badan ne
ka.ī dinoñ kī an-thak riyāzat
cement ret aur bajrī ke biich kaTī thī
ek pyālī chaa.e kī talab
belche kī miTTī ke saath uchhālī thī
fikr-e-ayāl ko
lohe kī reḌhī pe
īñToñ ke saath dhakelā thā
chand lamhe
sustāne kī ḳhvāhish ko
sabr ke hathauḌe se kuuT Daalā thā
tab jā kar kahīñ
āḳhir kaar
aaj apnī dāvat manānī thī
ghar meñ murġhī pakānī thī
magar chamaktī kirolā kī
damaktī maḳhlūq ko kyā ḳhabar
beach saḌak meñ
jis kā shaper phaTā thā
jo lā-vāris laash kī sūrat paḌā thā
aaj us ne
apnī dāvat manānī thī
ghar meñ murġhī pakānī thī