mutrib-e-ḳhush-navā zindagī ke hasīn giit gaatā rahā
us kī āvāz par anjuman jhuum uTThī
us ne jab zaḳhm-e-dil ko zabāñ baḳhsh dī
sunñe vāloñ ne be-sāḳhta aah kī
ishq ke saaz par jab huā zaḳhma-zan
shor-e-tahsīñ meñ ḳhud us kī āvāz dab sī ga.ī
mutrib-e-ḳhush-navā phir bhī tanhā rahā
tishnagi-e-mashām us ko bād-e-sabā kī tarah gul-ba-gul le ga.ī
kāsa-e-chashm ne partav-e-gul bhī paayā nahīñ
dard us kā kisī mahram-e-dard ke vāste
dar-ba-dar shahr-dar-shahr phirtā rahā
daad o tahsīñ ke hañgāma-e-zauq-kash meñ use
har taraf se malāmat ke patthar mile
mutrib-e-ḳhush-navā pattharoñ se paTaktā rahā apnā sar
pattharoñ ko zabāñ to milī par takallum nahīñ
pattharoñ ko ḳhad-o-ḳhāl-e-insāñ mile daulat-e-dard-o-ġham kab milī
pattharoñ ko hasīñ sūrateñ to milīñ dil nahīñ mil sakā
pattharoñ ko mile paañv par e'timād-e-safar kaun de
pattharoñ ko mile haath par azm-e-tesha-zanī kaun de
sañg sunte haiñ lekin samajhte nahīñ
dekhte haiñ magar farq karte nahīñ
baat karte haiñ mahsūs karte nahīñ
TuuT sakte haiñ lekin pighalte nahīñ
gard ban kar ye uḌ jaa.eñ sāñchoñ meñ Dhalte nahīñ
mutrib-e-ḳhush-navā pattharoñ se paTaktā rahā apnā sar
mutrib-e-ḳhush-navā pattharoñ ko sunātā rahā dard-e-dil
apnā ġham un kā ġham sab kā ġham
pattharoñ ne sunā aur chup-chāp hañste rahe
pattharoñ kī isī anjuman kā muġhannī huuñ maiñ
aur bedard be-his sitamgār patthar suneñge kabhī
un kā vo mutrib-e-ḳhush-navā shikva-sanj-e-zamāñ
apne naġhmāt kī aag meñ jal gayā
phir un hī ke mānind patthar kā but ban gayā