vallāh kyā zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
fitrat kī tarjumāñ hai urdu zabāñ hamārī
aabā kī dāstāñ hai urdu zabāñ hamārī
mazlūm kī fuġhāñ hai urdu zabāñ hamārī
hindū bhī bolte haiñ muslim bhī bolte haiñ
do jism ek jaañ hai urdu zabāñ hamārī
ta.amīr kī hai is kī ḳhud ko miTā miTā kar
aslāf kā nishāñ hai urdu zabāñ hamārī
mīThā ik ek jumla pur-kaif har maqāla
al-haq shakar-fishāñ hai urdu zabāñ hamārī
alfāz chāñd taare ban kar chamak rahe haiñ
rif.at meñ āsmāñ hai urdu zabāñ hamārī
'ġhālib' 'nasīm' 'kaifī' chakbast 'zauq' 'sarshār'
har shaḳhs kī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
ik ik kitāb is kī phūlā-phalā chaman hai
gulzār-e-be-ḳhizāñ hai urdu zabāñ hamārī
'munshī-prem' is par hote na kyuuñ tasadduq
maanī huī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
har aadmī ke dil meñ ghar kar rahī hai 'shātir'
mahbūb mehrbāñ hai urdu zabāñ hamārī