lālchī kitne ḳhushāmad-ḳhor daulat ke ġhulām
ḳhud-ġharaz makkār ibn-ul-vaqt jhūToñ ke imaam
banda-e-hirs-o-havas ġhaddār matlab-āshnā
paise kī ḳhātir vatan ko bechne vaale batā
kyā tujhe ehsās-e-mahkūmī kabhī hotā bhī hai
tū kabhī hindostāñ ke haal par rotā bhī hai
kyā sunī bhī hai kabhī mazdūroñ ke dil kī pukār
kyā kabhī tū ne jhinjhoḌe bāzū-e-sarmāya-dār
kyā kabhī tū bhī vahāñ pahuñchā hai ai zulmat-ma.āb
jagmagātā hai jahāñ ilm-o-amal kā āftāb
tere siine meñ kabhī bhaḌkī bhī hai ibrat kī aag
terī nabzoñ meñ kabhī machlī bhī hai ġhairat kī aag
tere qaul-o-fe.al meñ tāsīr honī chāhiye
ya.anī tere haath meñ shamshīr honī chāhiye