kunj-e-qafas meñ jalva-e-sahn-e-chaman kahāñ
bulbul to DhūñDhtī hai gul-o-yāsman kahāñ
gum ho ga.ī hai aa ke jahāñ rāh-e-kū-e-dost
laayā bhī to mujhe mirā dīvāna-pan kahāñ
sarmāya-e-nashāt sahī āmad-e-bahār
lekin use nasīb tirā bāñkpan kahāñ
ai vo mire shabāb kī rāteñ guzar ga.iiñ
ab vo mirī nashāt bharī anjuman kahāñ
'shātir' chalo basā.eñ dayār-e-habīb ko
is kāmiTī meñ jalva-e-gañg-o-jaman kahāñ