Shatir Hakeemi

maulana mohammad-ali marhum jauhar

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
sahar ke jhuTpuTe meñ gā rahī thī raat kī lailā
chaman meñ baj rahā thā satvat-e-rafta kā ik taara
munaqqash thiiñ fazā meñ jā-ba-jā anvār kī shakleñ
mujhe paiġhām jalva de rahī thiiñ surmagīñ āñkheñ
falak par lukka-e-abr-e-subuk-raftār raqsāñ thā
bahisht-e-husn thā duniyā kī barnā.ī kā har zarra
abhī chheḌā na thā dil ne mire afsāna-e-māzī
ma.an añkhoñ ke aage khiñch ga.ī tasvīr 'jauhar' kī
salām aise mujāhid nek-sīrat pāk-tīnat par
jo apnī jaan tak qurbān kar de mulk-o-millat par
Top Urdushayar.com