Shatir Hakeemi

diwali

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
raat kuchh tārīk bhī hai aur kuchh raushan bhī hai
vaqt ke māthe pe shoḳhī bhī hai bholā-pan bhī hai
bām-o-dar par aaj miTTī ke diye haiñ is tarah
āsmānoñ par sitāre jagmagā.eñ jis tarah
rāstoñ par haiñ danā-dan kī sadā.eñ ḳhaufnāk
zindagī se maut goyā kar rahī hai tāk-jhāñk
ho rahī haiñ har galī-kūche meñ ātish-bāziyāñ
aar rahā hai abr kī sūrat tamavvul kā dhuāñ
kar rahe haiñ laxmī-pūjan bhī gharoñ meñ sāhūkār
dev daulat ko samajh baiThe haiñ rabb-e-iqtidār
hind vāloñ ko maraz hai nāravā taqlīd kā
aaj ghar meñ seTh-jī bhī khel lete haiñ juā
ho sake to chhoḌ de rasm-e-kohan mard-e-javāñ
tā-ba-kai dohrā.e jā.egā fasurda dāstāñ
aql se kuchh kaam le hindostāñ par rahm kar
aaj bhī lākhoñ gharoñ meñ hai añdhere kā guzar
hosh meñ aa ḳhvāb se bedār ho ai vaqf-e-naum
mulk par tere hukūmat kar rahī hai ġhair qaum
mard hai tū kaam le himmat se ronā chhoḌ de
naam le arjun kā zanjīr-e-ġhulāmī toḌ de
hind kī ḳhvābīda qismat ko jagānā chāhiye
shauq se phir tujh ko dīvālī manānā chāhiye
Top Urdushayar.com