gurū-nānak jise kahte haiñ vo ik mard-e-kāmil thā
ki us ke paas siine meñ taqaddus-āfrīñ dil thā
vo gūñjā naġhma-e-nāhīd ban kar āsmānoñ meñ
liyā jaatā hai naam us kā muqaddas dāstānoñ meñ
haqīqat apnī manvā.ī haqīqat-āshnā ho kar
jo uTThā ibtidā ho kar to baiThā intihā ho kar
sabaq insāniyat kā dene aayā ibn-e-ādam ko
taraqqī kī taraf le jaane vaalā ahl-e-ālam ko
zamīñ bhī us kā lohā maan kar sonā ugaltī thī
ki jis ke dabdabe se charḳh kī chhātī dahaltī thī
vo aayā thā miTāne ke liye tafrīq maz.hab kī
dam-e-āḳhir bhī kī jis ne itā.at ek hī rab kī
vo insāñ jis ke qadmoñ par zamāna sar jhukānā thā
tarīq-e-guftugū se ġhair ko apnā banātā thā
vo rahbar jis ne gumrāhoñ kī aksar peshvā.ī kī
bhalā.ī kī hamesha jis ne bhī us se burā.ī kī
granthī raag sun kar aadmī bedār hotā hai
zamāne kī nazar meñ sāhab-e-kirdār hotā hai
falak bhī tāl-bandī kī zamīñ par naaz kartā hai
ki us kā tā.ir-e-dil arsh par parvāz kartā hai
gurū-nānak kī kam se kam itā.at hai kiye hote
asar ke motiyoñ se dāman-e-dil bhar liye hote