Shatir Hakeemi

hindostan

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
muflis yahāñ nahīñ haiñ ki beva yahāñ nahīñ
aisā koī nahīñ hai jo āfat-nishāñ nahīñ
zikr-e-chaman zabān par laayā na jā.egā
ab qissa-e-bahār sunāyā na jā.egā
zulm-o-sitam se kaam liyā jā rahā hai aaj
insāf ko tabāh kiyā jā rahā hai aaj
ye kah ke kis ne qalb-e-do-ālam hilā diyā
shaitāñ laraz uThā to malak muskurā diyā
har chand aa rahā hai zamāne meñ inqalāb
lekin zabān-e-hāl se kahtā hai āftāb
taḳhta ulaT na jaa.e kahīñ kā.enāt kā
qulzum meñ ġharq ho na safīna hayāt kā
sayyād ko jhiñjhoḌ rihā.ī isī meñ hai
tauq-e-ġhulāmī toḌ rihā.ī isī meñ hai
duniyā tulī huī hai baġhāvat pe āj-kal
kyā dekhtā hai teġh uThā tevrī badal
sehat dil-o-dimāġh baqā aur zindagī
in ne.amatoñ se duur rahe aah aadmī
duniyā kā har nizām badal jā.egā kabhī
har har marīz-e-mulk sambhal jā.egā kabhī
insān zindabād ke na.are buland kar
dair-o-haram ke roz ke jhagḌoñ se dar-guzar
tūfān kā nadīm tabāhī kā yaar huuñ
bāġhī huuñ aur dushman-e-sabr-o-qarār huuñ
insāniyat kī dahr meñ tazlīl kyuuñ na ho
sarmāya-dār luuT rahe haiñ ġharīb ko
Top Urdushayar.com