jā rahā hai apnī manzil kī taraf māh-e-tamām
jaise qabroñ ke mujāvir jaise masjid ke imaam
ḳhānqāhoñ meñ huā kartā hai jaise bil-umūm
shaiḳh kī ḳhidmat meñ hāzir hai murīdoñ kā hujūm
is tarah mehrāb meñ rakkhī hai ilhāmī kitāb
jaise ik zāhid kā īmāñ jaise ik baasī gulāb
taaq meñ rakkhī huī hai ik taraf ik jā-namāz
uud kī ḳhushbū se hai mahkā huā har pāk-bāz
mahv hai zikr-e-ḳhafī meñ zāhid-e-shab zinda-dār
baiThe baiThe chauñk paḌtā hai magar be-iḳhtiyār
piir sāhab hī nahīñ har shaḳhs hai khoyā huā
nā-gahāñ un meñ se ik yuuñ bā-adab goyā huā
hādī-e-rāh-e-tarīqat murshid-e-raushan-zamīr
āsmān-e-azm-o-istiqlāl ke mehr-e-munīr
kyā kabhī aurat kā nazzāra bhī kar saktā huuñ maiñ
kyā kabhī is raah se āsāñ guzar saktā huuñ maiñ
dekhnā us kī taraf hargiz na ai mard-e-javāñ
varna miT jā.egā peshānī se sajde kā nishāñ
aap kā irshād sar-āñkhoñ pe lekin Dar ye hai
chubh na jaa.e phāñs ban kar dil meñ ye nāzuk sī shai
yaad rakh dil par na hone paa.e aurat kā asar
muskurā.e bhī agar āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar
ik zarā sī baat hī kar luuñ to kyā ho jā.egā
bas yahī nā aap sā rahbar ḳhafā ho jā.egā
tujh ko apnī fikr karnī chāhiye har haal meñ
achchhe achchhe log aa jaate haiñ is kī chaal meñ
is pe la.anat ho ḳhudā kī ye hai shaitānoñ kī raah
saiñkaḌoñ mardoñ ko kar detī hai ik pal meñ tabāh
guftugū ye ḳhatm hone bhī na paa.ī thī abhī
ek aurat god meñ bachcha liye dāḳhil huī
piir ghabrā.e murīdoñ ko pasīna aa gayā
zindagī kā har taḳhayyul maut ban kar chhā gayā