Shatir Hakeemi

tagore

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
sahar ke vaqt jab ThanDī havā.eñ sarsarātī haiñ
chaman kā rañg khil jaatā hai kaliyāñ muskurātī haiñ
parinde tolte haiñ par nikal kar āshiyāne se
fazā.eñ guuñj uThtī haiñ anādil ke tarāne se
taḳhayyul aadmī kā jab na.ī tashkīl paatā hai
nizām-e-bazm-e-ālam meñ taġhayyur hotā jaatā hai
hazāroñ mard-e-maidāñ ḳhuun paanī ek karte haiñ
rah-e-mushkil-talab se tab kahīñ āsāñ guzarte haiñ
koī bīmār kā jab pūchhne vaalā nahīñ hotā
maraz baḌhtā hī jaatā hai magar achchhā nahīñ hotā
mujhe tagore kā guzrā zamāna yaad aatā hai
Tapak paḌte haiñ aañsū vo fasāna yaad aatā hai
payām-e-zindagī le kar jo aayā thā zamāne meñ
qayāmat hai usī ko maut ne chhāñTā zamāne meñ
Top Urdushayar.com