Shatir Hakeemi

mazdur ki zindagi

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
dopahar kā vaqt garmā kī havā.eñ tez-tar
mehr kī tābish se pighle jā rahe haiñ dasht-o-dar
garm hai nahroñ kā paanī sard hai nabz-e-bahār
ḳhushk patte jeb-o-dāman kar rahe haiñ tārtār
jal rahā hai sabza-e-be-rañg farsh-e-ḳhāk par
bhun rahā hai dhuup kī tezī se getī kā jigar
tund jhoñke aa rahe haiñ dāman-e-kohsār se
sar-zamīn-e-rañg-o-bū par aag barsāte hue
jānvar sab maare maare phir rahe haiñ khet meñ
jaise koī karvaTeñ letā ho taptī ret meñ
haa.e vo mazdūr jis ke paa.e himmat par nisār
sañg-dil sarmāya-dārī kā sar-e-nā-pā.edār
jis ke bal-būte pe itrātī hai lailā-e-zamīñ
jis kī haibat se laraz jaatā hai charḳh-e-ambarīñ
Dūbtī nabzoñ meñ dauḌātā hai jo ḳhūn-e-hayāt
jis ke dam se jagmagā uThtī hai bazm-e-kā.enāt
jis kī nazroñ se chamaktā hai tamaddun kā shabāb
sar-nigūñ hai jis ke aage ahd-e-nau kā āftāb
ho nahīñ saktā ki vo ārām le din ko kabhī
kufr hai maz.hab meñ us ke kāhilī kī zindagī
zindagī kyā maut se Dartā nahīñ mard-e-hazīñ
phir bhī is duniyā meñ koī pūchhne vaalā nahīñ
aaj bhī hai is balā kī dhuup meñ masrūf-e-kār
go mahall-e-aish meñ bad-mast hai sarmāya-dār
kyā khaḌā taktā hai sūrat ahd-e-hāzir ke javāñ
haañ miTā de dushman-e-insāf kā nām-o-nishāñ
Top Urdushayar.com