Shatir Hakeemi

mirza-ghaalib

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
añdherī raat meñ jab muskurā uThte haiñ sayyāre
tarannum phuuT paḌtā hai mire sāz-e-rag-e-jāñ se
koī añgḌā.iyāñ letā jab aa jaatā hai mahfil meñ
tamannā karvaTeñ letī hai paiham dukh-bhare dil meñ
nigāheñ bāda-e-ruḳh se ḳhumār-āmez hotī haiñ
sharābī kī tarah jab jhūmtī haiñ ishq kī nabzeñ
koī 'tagore' ke jab mīThe mīThe giit gaatā hai
moallim go.eTe kā falsafa jis dam sunātā hai
tire ash.ār paḌhtā huuñ tire naġhmāt gaatā huuñ
kamāl-e-kaif-o-fart-e-be-ḳhudī meñ jhuum jaatā huuñ
Top Urdushayar.com