ai vatan ai rāhat-o-ārām ke dilkash dayār
tere shahroñ par tasadduq tere sahrā par nazār
husn meñ tū be-badal hai ishq meñ tū lā-javāb
raam kī tujh meñ javānī tujh meñ siitā kā shabāb
khet tere rashk-e-gulshan dasht tere lāla-zār
tujh ko baḳhshī hai mashiyyat ne bisāt-e-zar-nigār
tujh meñ haiñ ābād daulat-mand bhī nādār bhī
sīm-o-zar ke ganj bhī haiñ ret ke ambār bhī
ek hī saa.at meñ to hai shaad bhī nāshād bhī
tere chehre se ayaañ hai daad bhī fariyād bhī
hai kahīñ tū maskan-e-mazdūr vaqt-e-muflisī
hai kahīñ sarmāya-dāroñ ke liye jām-e-ḳhushī
azm-e-rāsiḳh bhī hai tujh meñ shaukat-e-dārā bhī hai
lashkar-e-jarrār kā tū afsar-e-a.alā bhī hai
ai vatan sab kuchh hai tujh meñ rūh-e-āzādī nahīñ
khā rahā hai tere bachchoñ ko ġhulāmī kā yaqīñ
ho rahī haiñ muslim-o-hindū meñ ḳhāna-jañgiyāñ
gir paḌā bhārat ke hāthoñ se uḳhuvvat kā nishāñ