ziist yūñhī na rahegī maġhmūm
zindagānī ko badalnā hogā
maut kā saaya laraztā hai to kyā
vaqt ālām ko laayā hai to kyā
ġham ko sah jaa.eñ dilāvar ban kar
pī leñ dariyā ko samundar ban kar
ġham to aate hī raheñge paiham
āte-jāte hī raheñge har-dam
ġham-o-andoh kī kuchh baat nahīñ
ye koī lamha-e-haihāt nahīñ
raat tārīk bhī sunsān bhī hai
azm ke giit to gaa.eñ aao