Daud Ghazi

mashwara

Daud Ghazi

Dar es Salaam, Tanzania

1932-1936
merī mahbūb ye aañsū haiñ ki motī ruḳh par
un ko is tarah na bekār gañvā maan bhī jā
ye nahīñ hai ki maiñ is dard se āgāh nahīñ
tū ġham-e-dahr pe rotī hai patā hai mujh ko
haañ magar ham hī nahīñ is ke shikanje ke shikār
apnī hī tarah zamāne meñ hazīñ aur bhī haiñ
haath par haath dhare sab hoñ agar girya-kunāñ
phir un ashkoñ kā kare kaun mudāvā āḳhir
aaj bebas haiñ to kyā aaj haiñ majbūr to kyā
bebasī hī pe nahīñ ḳhatm kahānī apnī
ḳhud-kushī qabr maiñ bhejegī hameñ ġham ko nahīñ
marg-e-hastī meñ kahāñ hai ġham-e-hastī kā ilaaj
ġham ke zarroñ ko sameTūñ ki baḌe kaam ke haiñ
ye simaT jaa.eñ to ho jaa.e himāla paidā
Top Urdushayar.com