is daur meñ tū kyuuñ hai pareshān-o-hirāsāñ
kyā baat hai kyuuñ hai mutazalzal terā īmāñ
hairat hai ghaTāoñ meñ terā nuur ho tarsāñ
bhārat ke musalmāñ
tū dard-e-mohabbat kā talabgār azal se
tū mehr-o-muravvat kā parastār azal se
rānā.i-e-afkār ko kar phir se ġhazal-ḳhvāñ
bhārat ke musalmāñ
hargiz na bhalā 'mīr' kā 'ġhālib' kā tarāna
ban jaa.e kahīñ terī haqīqat na fasāna
ai 'qāsim'-o-'sayyad' ke ḳhazāne ke nigahbāñ
bhārat ke musalmāñ
'hāfiz' ke tarannum ko basā qalb-o-nazar meñ
'rūmī' ke tafakkur ko sajā qalb-o-nazar meñ
ye lahn ho phir hind kī duniyā meñ ho afshāñ
bhārat ke musalmāñ
tūfān meñ tū DhūñDh rahā hai jo kinārā
amvāj kā kar dīda-e-bātin se nazārā
mumkin hai ki sāhil ho pas-e-parda-e-tūfāñ
bhārat ke musalmāñ
zāhir kī mohabbat se muravvat se guzar jā
bātin kī adāvat se kudūrat se guzar jā
aur azm se phir thaam zarā dāman-e-īmāñ
bhārat ke musalmāñ
islām kī ta.alīm se begāna huā tū
nā-mahram-e-har-jur.at-e-rindāna huā tū
mumkin ho to phir DhūñDh gañvā.e hue sāmāñ
bhārat ke musalmāñ
ajmer kī dargāh-e-mua.allā terī jāgīr
mahbūb-e-ilāhī kī zamīñ par tirī tanvīr
sarhind kī miTTī se tire dam se farozāñ
bhārat ke musalmāñ
har zarra-e-dehlī hai tire zau se munavvar
punjab kī mastī asar-e-jazb-e-qalandar
madras kī miTTī meñ nihāñ tāj-e-shahīdāñ
bhārat ke musalmāñ
'bastāmī'-o-'basarī'-o-'muarrā'-o-'ġhazālī'
jis ilm kī jis faqr kī duniyā ke the vaalī
afsos-sad-afsos tirī tañgī-e-dāmāñ
bhārat ke musalmāñ
maz.hab jise kahte haiñ vo kuchh aur hai pyāre
nafrat se pare is kā har ik taur hai pyāre
is daur meñ maz.hab kī sadāqat ho numāyāñ
bhārat ke musalmāñ
islām to mehr aur mohabbat kā bayāñ hai
iḳhlās kī rūdād-e-muravvat kā bayāñ hai
kyuuñ dil meñ tire ho na haqīqat ye farozāñ
bhārat ke musalmāñ
islām kī ta.alīm farāmosh huī kyuuñ
insān kī tāzīm farāmosh huī kyuuñ
hairat meñ huuñ maiñ dekh ke ye ālam-e-nisyāñ
bhārat ke musalmāñ
māhaul kī ho taaza havā tujh ko gavārā
darkār hai tahzīb ko phir terā sahārā
ho jā.egī tārīkī-e-māhaul gurezāñ
bhārat ke musalmāñ