Khalilur Rahman Azmi

mera ghar mera virana

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
dīdanī hai ye mirā ghar mirā vīrāna bhī
is guzargāh pe kuchh der Thahar jā sayyāh
mujh ko ma.alūm hai tū saarā jahāñ dekh chukā
haañ ufuq-tā-ba-ufuq saarī zamīñ dekhī hai
merī duniyā meñ zarā dekh ki is duniyā ko
dekhne vāloñ ne ab tak kabhī dekhā hī nahīñ
tujh ko ai dost dikhā.ūñ ki kahāñ rahtā huuñ
ye vo ghar hai ki jo shāyad kabhī ho saktā thā ghar
ye zamīñ ujḌī huī TuuTī huī hai dīvār
par isī kokh meñ dhartī kī hai sarmāya mirā
mirī tasvīr kī āñkhoñ meñ basā hai ik shahr
is meñ haiñ ūñche mahal jo maiñ banā saktā thā
is meñ haiñ merī mohabbat ke vo saare armāñ
jin se mahrūm rahā merā ye bedār shabāb
haañ yahīñ dafn haiñ vo saarī kitābeñ jin ko
zindagī detī jo fursat to maiñ likh saktā thā
mere sayyāh bahut tū ne maqābir dekhe
sach kahā sadiyoñ meñ ik tāj-mahal bantā hai
Top Urdushayar.com