Faiz Ahmad Faiz

wasoKHt

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
sach hai hamīñ ko aap ke shikve bajā na the
be-shak sitam janāb ke sab dostāna the
haañ jo jafā bhī aap ne kī qā.ede se kī
haañ ham hī kārband-e-usūl-e-vafā na the
aa.e to yuuñ ki jaise hamesha the mehrbāñ
bhūle to yuuñ ki jaise kabhī āshnā na the
kyuuñ dād-e-ġham hamīñ ne talab kī burā kiyā
ham se jahāñ meñ kushta-e-ġham aur kyā na the
gar fikr-e-zaḳhm kī to ḳhatā-vār haiñ ki ham
kyuuñ mahv-e-mad.h-e-ḳhūbi-e-teġh-e-adā na the
har chārāgar ko chāragarī se gurez thā
varna hameñ jo dukh the bahut lā-davā na the
lab par hai talḳhi-e-mai-e-ayyām varna 'faiz'
ham talḳhi-e-kalām pe maa.il zarā na the
Top Urdushayar.com