aur kuchh der meñ jab phir mire tanhā dil ko
fikr aa legī ki tanhā.ī kā kyā chāra kare
shola-e-dard jo pahlū meñ lapak uTThegā
dil kī dīvār pe har naqsh damak uTThegā
dil se phir hogī mirī baat ki ai dil ai dil
ye jo mahbūb banā hai tirī tanhā.ī kā
mushta.il ho ke abhī uTTheñge vahshī saa.e
ye chalā jā.egā rah jā.eñge baaqī saa.e
ho na ho apne qabīle kā bhī koī lashkar
muntazir hogā añdhere kī fasīloñ ke udhar