ravish-ravish hai vahī intizār kā mausam
nahīñ hai koī bhī mausam bahār kā mausam
girāñ hai dil pe ġham-e-rozgār kā mausam
hai āzmā.ish-e-husn-e-nigār kā mausam
ḳhushā nazāra-e-ruḳhsār-e-yār kī saa.at
ḳhushā qarār-e-dil-e-be-qarār kā mausam
hadīs-e-bāda-o-sāqī nahīñ to kis masraf
ḳhirām-e-abr-e-sar-e-kohsār kā mausam
nasīb-e-sohbat-e-yārāñ nahīñ to kyā kiije
ye raqs-e-sāya-e-sarv-o-chinār kā mausam
ye dil ke daaġh to dukhte the yuuñ bhī par kam kam
kuchh ab ke aur hai hijrān-e-yār kā mausam
yahī junūñ kā yahī tauq-o-dār kā mausam
yahī hai jabr yahī iḳhtiyār kā mausam
qafas hai bas meñ tumhāre tumhāre bas meñ nahīñ
chaman meñ ātish-e-gul ke nikhār kā mausam
sabā kī mast-ḳhirāmī tah-e-kamand nahīñ
asīr-e-dām nahīñ hai bahār kā mausam
balā se ham ne na dekhā to aur dekheñge
faroġh-e-gulshan o saut-e-hazār kā mausam