Faiz Ahmad Faiz

tarana

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
darbār-e-vatan meñ jab ik din sab jaane vaale jā.eñge
kuchh apnī sazā ko pahuñcheñge, kuchh apnī jazā le jā.eñge
ai ḳhāk-nashīno uTh baiTho vo vaqt qarīb aa pahuñchā hai
jab taḳht girā.e jā.eñge jab taaj uchhāle jā.eñge
ab TuuT gireñgī zanjīreñ ab zindānoñ kī ḳhair nahīñ
jo dariyā jhuum ke uTThe haiñ tinkoñ se na Taale jā.eñge
kaTte bhī chalo, baḌhte bhī chalo, baazū bhī bahut haiñ sar bhī bahut
chalte bhī chalo ki ab Dere manzil hī pe Daale jā.eñge
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegā kuchh duur to naale jā.eñge
Top Urdushayar.com