Faiz Ahmad Faiz

lauh-o-qalam

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte raheñge
jo dil pe guzartī hai raqam karte raheñge
asbāb-e-ġham-e-ishq baham karte raheñge
vīrāni-e-daurāñ pe karam karte raheñge
haañ talḳhī-e-ayyām abhī aur baḌhegī
haañ ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte raheñge
manzūr ye talḳhī ye sitam ham ko gavārā
dam hai to mudāvā-e-alam karte raheñge
mai-ḳhāna salāmat hai to ham surḳhī-mai se
taz.īn-e-dar-o-bām-e-haram karte raheñge
baaqī hai lahū dil meñ to har ashk se paidā
rañg-e-lab-o-ruḳhsār-e-sanam karte raheñge
ik tarz-e-taġhāful hai so vo un ko mubārak
ik arz-e-tamannā hai so ham karte raheñge
Top Urdushayar.com