Faiz Ahmad Faiz

ghubar-e-KHatir-e-mahfil Thahar jae

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
kahīñ to kārvān-e-dard kī manzil Thahar jaa.e
kināre aa lage umr-e-ravāñ yā dil Thahar jaa.e
amaañ kaisī ki mauj-e-ḳhūñ abhī sar se nahīñ guzrī
guzar jaa.e to shāyad bāzu-e-qātil Thahar jaa.e
koī dam bādbān-e-kashtī-e-sahbā ko tah rakkho
zarā Thahro ġhubār-e-ḳhātire-mahfil Thahar jaa.e
ḳhum-e-sāqī meñ juz zahr-e-halāhal kuchh nahīñ baaqī
jo ho mahfil meñ is ikrām ke qābil Thahar jaa.e
hamārī ḳhāmushī bas dil se lab tak ek vaqfa hai
ye tūfāñ hai jo pal bhar bar-lab-e-sāhil Thahar jaa.e
nigāh-e-muntazir kab tak karegī ā.īña-bandī
kahīñ to dasht-e-ġham meñ yaar kā mahmil Thahar jaa.e
Top Urdushayar.com