Faiz Ahmad Faiz

jashn ka din

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
junūñ kī yaad manāo ki jashn kā din hai
salīb-o-dār sajāo ki jashn kā din hai
tarab kī bazm hai badlo diloñ ke pairāhan
jigar ke chaak silāo ki jashn kā din hai
tunuk-mizāj hai saaqī na rañg-e-mai dekho
bhare jo shīsha chaḌhāo ki jashn kā din hai
tamīz-e-rahbar-o-rahzan karo na aaj ke din
har ik se haath milāo ki jashn kā din hai
hai intizār-e-malāmat meñ nāsehoñ kā hujūm
nazar sambhāl ke jaao ki jashn kā din hai
vo shorish-e-ġham-e-dil jis ke lai nahīñ koī
ġhazal kī dhan meñ sunāo ki jashn kā din hai
Top Urdushayar.com