Faiz Ahmad Faiz

zindan ki ek subh

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
raat baaqī thī abhī jab sar-e-bālīñ aa kar
chāñd ne mujh se kahā 'jaag sahar aa.ī hai
jā-ba-jā raqs meñ aane lage chāñdī ke bhañvar
chāñd ke haath se tāroñ ke kañval gir gir kar
sehn-e-zindāñ meñ rafīqoñ ke sunahre chehre
sath-e-zulmat se damakte hue ubhre kam kam
duur naubat huī phirne lage be-zār qadam
zard fāqoñ ke satā.e hue pahre vaale
lazzat-e-ḳhvāb se maḳhmūr havā.eñ jāgīñ
jel kī zahr-bharī chuur sadā.eñ jāgīñ
sar paTakne lagā rah rah ke darīcha koī
goyā phir ḳhvāb se bedār hue dushman-e-jāñ
Top Urdushayar.com