Faiz Ahmad Faiz

chopin ka naghma bajta hai

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
(2)
chhalnī hai añdhere kā sīna, barkhā ke bhāle barse haiñ
ik ġham-gīñ laḌkī ke chehre par chāñd kī zardī chhā.ī hai
jo barf girī thī is pe lahū ke chhīñToñ kī rushnā.ī hai
kuchh āzādī ke matvāle, jaañ kaf pe liye maidāñ meñ ga.e
har-sū dushman kā narġha thaa, kuchh bach nikle, kuchh khet rahe
ik kuuñj ko sakhiyāñ chhoḌ ga.iiñ ākāsh kī niilī rāhoñ meñ
vo yaad meñ tanhā rotī thii, lipTā.e apnī bāhoñ meñ
ġham ne sāñche meñ Dhālā hai
ik baap ke patthar chehre ko
phir phūloñ kī rut lauT aa.ī
aur chāhne vāloñ kī gardan meñ jhūle Daale bāhoñ ne
Top Urdushayar.com