rahā na kuchh bhī zamāne meñ jab nazar ko pasand
tirī nazar se kiyā rishta-e-nazar paivand
tire jamāl se har sub.h par vazū lāzim
har ek shab tire dar par sujūd kī pāband
nahīñ rahā haram-e-dil meñ ik sanam bātil
tire ḳhayāl ke lāt-o-manāt kī saugand
misāl-e-zīna-e-manzil ba-kār-e-shauq aayā
har ik maqām ki TuuTī jahāñ jahāñ pe kamand
ḳhizāñ tamām huī kis hisāb meñ likhiye
bahār-e-gul meñ jo pahuñche haiñ shāḳh-e-gul ko gazand
darīda-dil hai koī shahr meñ hamārī tarah
koī durīda-dahan shaiḳh-e-shahar ke mānind
shi.ār kī jo mudārāt-e-qāmat-e-jānāñ
kiyā hai 'faiz' dar-e-dil dar-e-falak se buland