uTho hayāt pe ḳhanjar kī dhaar guzrī hai
lahū kī būñdeñ Tapaktī haiñ zaḳhmī rūhoñ se
siyāh raushnī meñ aur jaag uThī vahshat
lahū meñ ghul ga.ī talḳhī diloñ pe naqsh bane
ye saañs siine meñ ghaTtī huī mī lagtī hai
ye roz-o-shab kā tafakkur ye saarī umr kā ghun
hayāt uub ga.ī adl ke añdheroñ se
kahāñ tak adl kī zanjīr khīñchte jaa.eñ
sadā.eñ lauTtī haiñ bām-o-dar se Takrā kar
inān-e-mulk paḌī hai hinā.ī hāthoñ meñ
koī to haq kī kiran phūTe zulm kī shab meñ
nigāh-e-amn-o-amāñ tishna-bār hai ab tak