ye be-rahm choToñ ḳhasāroñ kī duniyā
ye kāġhaz ke jhūTe sahāroñ kī duniyā
har ik jeb chhalnī har ik aañkh pyāsī
har ik ruḳh pe phailī huī bad-havāsī
hamārā hai phir bhī hamārā nahīñ hai
tasarruf par apnā ijārā nahīñ hai
ye ḳhuuñ aur pasīne kī gāḌhī kamā.ī
samajh meñ yahī baat ab tak na aa.ī
paḌī bāñjh haiñ a-t-m kī mashīneñ
ghisīñ bank kī chaukhaToñ pe jabīneñ
sabhī kaale dhan vaale haiñ ḳhairiyat se
jahāñ haiñ jidhar haiñ vo haiñ āfiyat se
chamakdār dhan kaale dhan se nikālo
ġharīboñ ko rañj-o-mehan se nikālo
ye mazdūr ye aam tājir ye modī
sabhī sāda-lauhoñ kī kashtī Dubo dī
baḌī shiddateñ aurteñ sah rahī hai
khaḌī apne ashkoñ meñ vo bah rahī hai
rūpa.e ghar meñ rakhne kī achchhī sazā hai
na roTī pakī hai na sālan banā hai
na.e note kā qadd-o-qāmat to dekho
ye chūran kī parchī kī shāmat to dekho
ye hai biis sau kā magar sau se halkā
hai bārīk itnā ki surma kharal kā
hamāre saroñ ko fazā meñ uchhālo
hameñ shauq-e-sabr-āzmā meñ uchhālo
har ik ġham ko ifrāt-e-zar meñ bahā lo
ma.īshat kā aisā janāza nikālo