Aziz Tamannai

musafir

Aziz Tamannai

1926
vo achānak chal diyā goyā safar thā muḳhtasar
zindagī-bhar jo safar kartā rahā chaltā rahā
chhāñv meñ aflāk kī paltā rahā Dhaltā rahā
paas jo pūñjī ujāloñ kī thī sab kuchh baañT kar
raah ke be-māya zarroñ ko banā kar āftāb
ḳhud se lā-parvā zamāne kī nazar se be-niyāz
zohd se fitrī lagāo dil meñ tauqīr-e-hijāz
jaane kyuuñ us ko pasand aa.ī thī zindī kī naqāb
marhale tārīk the aur manzileñ tārīk tar
us kī nannhī raushnī paiham rahī zulmat-shikan
sarsar-e-be-e.atidālī se gurezāñ fikr-o-fan
hosh meñ thā tā-dam-e-āḳhir zamīr-e-mo'atabar
vo musāfir thā adam kī raah meñ gum ho gayā
ġham to is kā hai ki ik achchhā sā insāñ kho gayā
Top Urdushayar.com