vatan ke dard-e-nihāñ kī davā sudeshī hai
ġharīb qaum kī hājat-ravā sudeshī hai
tamām dahr kī rūh-e-ravāñ hai ye tahrīk
sharīk husn-e-amal jā-ba-jā sudeshī hai
qarār-e-ḳhātir-e-āshufta hai fazā us kī
nishān-e-manzil-e-sidq-o-safā sudeshī hai
vatan se jin ko mohabbat nahīñ vo kyā jāneñ
ki chiiz kaun bideshī hai kyā sudeshī hai
usī ke saaya meñ paatā hai parvarish iqbāl
misāl-e-sāya-e-bāl-e-humā sudeshī hai
usī ne ḳhaak ko sonā banā diyā aksar
jahāñ meñ gar hai koī kīmiyā sudeshī hai
fanā ke haath meñ hai jān-e-nā-tavān-e-vatan
baqā jo chāho to rāz-e-baqā sudeshī hai
ho apne mulk kī chīzoñ se kyuuñ hameñ nafrat
har ik qaum kā jab mudda.ā sudeshī hai