din ko bhī yahāñ shab kī siyāhī kā samāñ hai
kahte haiñ ye ārām-gah-e-nūr-jahāñ hai
jalvaoñ se ayaañ jin ke huā tuur kā aalam
turbat pe hai un ke shab-e-daijūr kā aalam
ai husn-e-jahāñ-soz kahāñ haiñ vo sharāre
kis baaġh ke gul ho ga.e kis arsh ke taare
yā ho ga.e vo daaġh jahāñgīr ke dil ke
qābil hī to the āshiq-e-dil-gīr ke dil ke!
tujh sī malika ke liye bāra-darī hai
ġhālīcha sar-e-farsh hai koī na darī hai
aisī kisī jogan kī bhī kuTiyā nahīñ hotī
hotī ho magar yuuñ sar-e-sahrā nahīñ hotī
ta.avīz-e-lahad hai zabar o zer ye andher
ye daur-e-zamāna ke ulaT pher ye andher
māh-e-falak-e-husn ko ye burj milā hai
ai charḳh tire husn-e-navāzish kā gilā hai
hasrat hai Tapaktī dar-o-dīvār se kyā kyā
hotā hai asar dil pe in āsār se kyā kyā
ye ālam-e-tanhā.ī ye dariyā kā kinārā
hai tujh sī hasīna ke liye hū kā nazārā
chau-pā.e jo ghabrāte haiñ garmī se to aksar
ārām liyā karte haiñ is rauze meñ aa kar
ma.amūr hai yuuñ mahfil-e-jānāñ na kisī kī
ābād rahe gor-e-ġharībāñ na kisī kī
ārāsta jin ke liye gulzār o chaman the
jo nāzukī meñ daaġh dah-e-barg-e-saman the
pazhmurda vo gul dab ke hue ḳhaak ke nīche
ḳhvābīda haiñ ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk ke nīche
jo kuchh the kabhī the magar ab kuchh bhī nahīñ haiñ
TuuTe hue pinjar se paḌe zer-e-zamīñ haiñ
duniyā kā ye anjām hai dekh ai dil-e-nādāñ
haañ bhuul na jaa.e tujhe ye madfan-e-vīrāñ
TuuTā huā ik sāhil-e-rāvī pe makāñ hai
din ko bhī jahāñ shab kī siyāhī kā samāñ hai