bahut qarīb se aa.ī havā-e-dāman-e-gul
kisī ke rū-e-bahārīñ ne hāl-e-dil pūchhā
ki ai firāq kī rāteñ guzārne vaalo
ḳhumār-e-āḳhir-e-shab kā mizāj kaisā thā
tumhāre saath rahe kaun kaun se taare
siyāh raat meñ kis kis ne tum ko chhoḌ diyā
bichhaḌ ga.e ki daġhā de ga.e sharīk-e-safar
ulajh gayā ki vafā kā tilism TuuT gayā
nasīb ho gayā kis kis ko qurb-e-sultānī
mizāj kis kā yahāñ tak qalandarāna rahā
figār ho ga.e kāñToñ se pairahan kitne
zamīñ ko rashk-e-chaman kar gayā lahū kis kā
sunā.eñ yā na sunā.eñ hikāyat-e-shab-e-ġham
ki harf harf sahīfa hai, ashk ashk qalam
hazār dasht paḌe, laakh āftāb ubhre
jabīñ pe gard, palak par namī nahīñ aa.ī