Mustafa Zaidi

naya aazar

Mustafa Zaidi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1970
mirī rafīq-e-tarab-gāh terī aamad par
na.e suroñ meñ na.e giit gaa.e the maiñ ne
nafas nafas meñ jalā kar umiid ke dīpak
qadam qadam pe sitāre bichhā.e the maiñ ne
havā ke loch galī se nikhār māñgā thā
tire jamāl kā chehra sañvārne ke liye
kañval kañval se ḳharīdī thī hasrat-e-dīdār
nazar nazar ko jigar meñ utārne ke liye
bahut se giit chhalakte rahe ufuq ke qarīb
bahut se phuul baraste rahe fazāoñ meñ
ulajh ulajh ga.ī majrūh ziist kī girheñ
bikhar bikhar ga.iiñ añgḌā.iyāñ ḳhalāoñ meñ
maiñ pūchhtā huuñ ki ai rañg-o-nūr kī devī
ilāj-e-tīra-shabī kyā isī ko kahte haiñ
bujhe bujhe se ye muflis diye na jaane kyā
sulag sulag ke tirī be-hisī ko kahte haiñ
ye giit sar-ba-garebāñ haiñ tere jaane se
ye nau-urūs sitāre baḌhā rahe haiñ suhāg
jise bujhā.ūñ to dil zamharīr ho jaa.e
tirā aziim tasavvur haqīr ho jaa.e
Top Urdushayar.com